rāz-e-alam se hai shāyad ki mirā raaz judā
mujh se milne meñ hai us aañkh kā andāz judā
koī aisī nafsoñ se bhī ho dam-sāz judā
dil kā andāz judā saaz judā raaz judā
bad-gumāñ ishq ko sad vahm-o-yaqīñ ke khaTke
shoḳhī-e-chashm suḳhan-sāz hai ġhammāz judā
yuuñ hī kyā kam hai tirī yaad ki dil ko chheḌeñ
zulf-e-pur-ḳham lab-e-rañgīñ nigah-e-nāz judā
uqda-e-pech-o-ḳham-e-zulf kā khulnā ma.alūm
rāz-e-alam se hai ye silsila-e-rāz judā
tañgī-o-vus.at-e-kaunain meñ nisbat kaisī
dar-e-tauba se dar-e-mai-kadā ho baaz judā
āh-o-zārī se kabhī sāz-e-mohabbat na chhuḌā
ġham kā andāz judā ishq kā andāz judā
husn kī shaah talavvun udhar ik āfat-e-jān
vāhime dil ke udhar tafarqe parvāz judā
barq-e-āvāz jalā de ye niyastān-e-jahāñ
sāz-e-hastī se hai sāz-e-lab-e-e.ajāz judā
baḌhte bhī jaate haiñ sab ahl-e-jahāñ sū-e-adam
umr-e-rafta bhī diye jaatī hai āvāz judā
pai-ba-pai uḌte hue hosh ke andāz alag
tarz-e-barq-e-nigah-e-husn-e-junūñ-sāz judā
nigah-e-nāz diye jaatī hai paiġhām-e-hayāt
maut se khel rahe haiñ tire jāñbāz judā
kuchh ishāre haiñ udhar shoḳhī pinhāñ ke 'firāq'
hai sukūt-e-nigah-e-nāz suḳhan-sāz judā