Firaq Gorakhpuri

ishq ki mayusiyon mein soz-e-pinhan kuchh nahin

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
ishq kī māyūsiyoñ meñ soz-e-pinhāñ kuchh nahīñ
is havā meñ ye charāġh-e-zer-e-dāmāñ kuchh nahīñ
kyā hai dekho hasrat-e-sair-e-gulistāñ kuchh nahīñ
kuchh nahīñ ai sakinān-e-kunj-e-zindāñ kuchh nahīñ
ishq kī hai ḳhud-numā.ī ishq kī āshuftagī
rū-e-tābāñ kuchh nahīñ zulf-e-pareshāñ kuchh nahīñ
yaad aa hī jaatī hai aksar dil-e-barbād kī
yuuñ to sach hai chand zarrāt-e-pareshāñ kuchh nahīñ
sach hai jo kuchh bhī hai vo hai garmī-e-bāzār-e-husn
ahl-e-dil kā soz-e-pinhāñ kuchh nahīñ haañ kuchh nahīñ
aur un kī zindagī hai aur unvān-e-hayāt
ḳhud-farāmoshoñ ko tere ahd-o-paimāñ kuchh nahīñ
ek ho jaa.e na jab tak sarhad-e-hosh-o-junūñ
ek ho kar chāk-e-dāmān-o-garebāñ kuchh nahīñ
jo na ho jaa.e vo kam hai jo bhī ho jaa.e bahut
kār-zār-e-ishq meñ dushvār-o-āsāñ kuchh nahīñ
dekhnī thī dekh lī is chheḌ kī bhī sādgī
be-diloñ meñ ye tabassum-hā-e-pinhāñ kuchh nahīñ
kaash apne dard se betāb hote ai 'firāq'
dūsre ke hāthoñ ye hāl-e-pareshāñ kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com