Firaq Gorakhpuri

apne gham ka mujhe kahan gham hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
apne ġham kā mujhe kahāñ ġham hai
ai ki terī ḳhushī muqaddam hai
aag meñ jo paḌā vo aag huā
husn-e-soz-e-nihāñ mujassam hai
us ke shaitān ko kahāñ taufīq
ishq karnā gunāh-e-ādam hai
dil ke dhaḌkoñ meñ zor-e-zarb-e-kalīm
kis qadar is habāb meñ dam hai
hai vahī ishq zinda-o-jāved
jise āb-e-hayāt bhī sam hai
is meñ Thahrāv yā sukūn kahāñ
zindagī inqalāb-e-paiham hai
ik taḌap mauj-e-tah-nashīñ kī tarah
zindagī kī binā-e-mohkam hai
rahtī duniyā meñ ishq kī duniyā
na.e unvān se munazzam hai
uThne vaalī hai bazm maazī kī
raushnī kam hai zindagī kam hai
ye bhī nazm-e-hayāt hai koī
zindagī zindagī kā mātam hai
ik muamma hai zindagī ai dost
ye bhī terī adā-e-mub.ham hai
ai mohabbat tū ik azaab sahī
zindagī be tire jahannam hai
ik talātum sā rañg-o-nik.hat kā
paikar-e-nāz meñ damā-dam hai
phirne ko hai rasīlī nīm-nigāh
āhū-e-nāz mā.il-e-ram hai
ruup ke jot zer-e-pairāhan
gulsitāñ par ridā-e-shabnam hai
mere siine se lag ke so jaao
palkeñ bhārī haiñ raat bhī kam hai
aah ye mehrbāniyāñ terī
shādmānī kī aañkh pur-nam hai
narm o doshīza kis qadr hai nigāh
har nazar dāstān-e-maryam hai
mehr-o-mah shola-hā-e-sāz-e-jamāl
jis kī jhankār itnī maddham hai
jaise uchhle junūñ kī pahlī shaam
is adā se vo zulf barham hai
yuuñ bhī dil meñ nahīñ vo pahlī umañg
aur terī nigāh bhī kam hai
aur kyuuñ chheḌtī hai gardish-e-charḳh
vo nazar phir ga.ī ye kyā kam hai
rū-kash-e-sad-harīm-e-dil hai fazā
vo jahāñ haiñ ajiib aalam hai
diye jaatī hai lau sadā-e-'firāq'
haañ vahī soz-o-sāz kam kam hai
Top Urdushayar.com