zer-o-bam se sāz-e-ḳhilqat ke jahāñ bantā gayā
ye zamīñ bantī ga.ī ye āsmāñ bantā gayā
dāstān-e-jaur-e-behad ḳhuun se likhtā rahā
qatra qatra ashk-e-ġham kā be-karāñ bantā gayā
ishq-e-tanhā se huiiñ ābād kitnī manzileñ
ik musāfir kārvāñ-dar-kārvāñ bantā gayā
maiñ tire jis ġham ko apnā jāntā thā vo bhī to
zeb-e-unvān-e-hadīs-e-dīgarāñ bantā gayā
baat nikle baat se jaise vo thā terā bayāñ
naam terā dāstāñ-dar-dāstāñ bantā gayā
ham ko hai ma.alūm sab rūdād-e-ilm-o-falsafa
haañ har īmān-o-yaqīñ vahm-o-gumāñ bantā gayā
maiñ kitāb-e-dil meñ apnā hāl-e-ġham likhtā rahā
har varaq ik bāb-e-tārīḳh-e-jahāñ bantā gayā
bas usī kī tarjumānī hai mire ash.ār meñ
jo sukūt-e-rāz rañgīñ dāstāñ bantā gayā
maiñ ne sauñpā thā tujhe ik kaam saarī umr meñ
vo bigaḌtā hī gayā ai dil kahāñ bantā gayā
vārdāt-e-dil ko dil hī meñ jagah dete rahe
har hisāb-e-ġham hisāb-e-dostāñ bantā gayā
merī ghuTTī meñ paḌī thī ho ke hal urdu zabāñ
jo bhī maiñ kahtā gayā husn-e-bayāñ bantā gayā
vaqt ke hāthoñ yahāñ kyā kyā ḳhazāne luT ga.e
ek terā ġham ki ganj-e-shā.īgāñ bantā gayā
sar-zamīn-e-hind par aqvām-e-ālam ke 'firāq'
qāfile baste ga.e hindostāñ bantā gayā