Firaq Gorakhpuri

tumhein kyunkar bataen zindagi ko kya samajhte hain

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
tumheñ kyūñkar batā.eñ zindagī ko kyā samajhte haiñ
samajh lo saañs lenā ḳhud-kushī karnā samajhte haiñ
kisī badmast ko rāz-āshnā sab kā samajhte haiñ
nigāh-e-yār tujh ko kyā batā.eñ kyā samajhte haiñ
bas itne par hameñ sab log dīvāna samajhte haiñ
ki is duniyā ko ham ik dūsrī duniyā samajhte haiñ
kahāñ kā vasl tanhā.ī ne shāyad bhes badlā hai
tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhī kyā samajhte haiñ
umīdoñ meñ bhī un kī ek shān-e-be-niyāzī hai
har āsānī ko jo dushvār ho jaanā samajhte haiñ
yahī zid hai to ḳhair āñkheñ uThāte haiñ ham us jānib
magar ai dil ham is meñ jaan kā khaTkā samajhte haiñ
kahīñ hoñ tere dīvāne Thahar jaa.eñ to zindāñ hai
jidhar ko muñh uThā kar chal paḌe sahrā samajhte haiñ
jahāñ kī fitrat-e-begāna meñ jo kaif-e-ġham bhar deñ
vahī jiinā samajhte haiñ vahī marnā samajhte haiñ
hamārā zikr kyā ham ko to hosh aayā mohabbat meñ
magar ham qais kā dīvāna ho jaanā samajhte haiñ
na shoḳhī shoḳh hai itnī na purkār itnī purkārī
na jaane log terī sādgī ko kyā samajhte haiñ
bhulā diiñ ek muddat kī jafā.eñ us ne ye kah kar
tujhe apnā samajhte the tujhe apnā samajhte haiñ
ye kah kar ābla-pā rauñdte jaate haiñ kāñToñ ko
jise talvoñ meñ kar leñ jazb use sahrā samajhte haiñ
ye hastī nīstī sab mauj-ḳhezī hai mohabbat kī
na ham qatra samajhte haiñ na ham dariyā samajhte haiñ
'firāq' is gardish-e-ayyām se kab kaam niklā hai
sahar hone ko bhī ham raat kaT jaanā samajhte haiñ
Top Urdushayar.com