zaḳhm sab us ko dikhā kar raqs kar
eḌiyoñ tak ḳhuuñ bahā kar raqs kar
jāma-e-ḳhākī pe musht-e-ḳhāk Daal
ḳhud ko miTTī meñ milā kar raqs kar
is ibādat kī nahīñ koī qazā
sar ko sajde se uThā kar raqs kar
duur haT jā sāya-e-mehrāb se
dhuup meñ ḳhud ko jalā kar raqs kar
bhuul jā sab kuchh magar tasvīr-e-yār
apne siine se lagā kar raqs kar
toḌ de sab halqa-e-būd-o-nabūd
zulf ke halqe meñ jā kar raqs kar
us kī chashm-e-mast ko nazroñ meñ rakh
ik zarā mastī meñ aa kar raqs kar
apne hī pairoñ se apnā-āp rauñd
apnī hastī ko miTā kar raqs kar
us ke darvāze pe jā kar daf bajā
us ko khiḌkī meñ bulā kar raqs kar