Firaq Gorakhpuri

chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
chhalak ke kam na ho aisī koī sharāb nahīñ
nigāh-e-nargis-e-ra.anā tirā javāb nahīñ
zamīn jaag rahī hai ki inqalāb hai kal
vo raat hai koī zarra bhī mahv-e-ḳhvāb nahīñ
hayāt-e-dard huī jā rahī hai kyā hogā
ab is nazar kī duā.eñ bhī mustajāb nahīñ
zamīn us kī falak us kā kā.enāt us kī
kuchh aisā ishq tirā ḳhānumāñ-ḳharāb nahīñ
abhī kuchh aur ho insān kā lahū paanī
abhī hayāt ke chehre par āb-o-tāb nahīñ
jahāñ ke baab meñ tar dāmanoñ kā qaul ye hai
ye mauj mārtā dariyā koī sarāb nahīñ
dikhā to detī hai behtar hayāt ke sapne
ḳharāb ho ke bhī ye zindagī ḳharāb nahīñ
Top Urdushayar.com