Firaq Gorakhpuri

ab daur-e-asman hai na daur-e-hayat hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
ab daur-e-āsmāñ hai na daur-e-hayāt hai
ai dard-e-hijr tū hī batā kitnī raat hai
har kā.enāt se ye alag kā.enāt hai
hairat-sarā-e-ishq meñ din hai na raat hai
jiinā jo aa gayā to ajal bhī hayāt hai
aur yuuñ to umr-e-ḳhizr bhī kyā be-sabāt hai
kyuuñ intihā-e-hosh ko kahte haiñ be-ḳhudī
ḳhurshīd hī kī āḳhirī manzil to raat hai
hastī ko jis ne zalzala-sāmāñ banā diyā
vo dil qarār paa.e muqaddar kī baat hai
ye mushagāfiyāñ haiñ girāñ tab-e-ishq par
kis ko dimāġh-e-kāvish-e-zāt-o-sifāt hai
toḌā hai lā-makāñ kī hadoñ ko bhī ishq ne
zindān-e-aql terī to kyā kā.enāt hai
gardūñ sharār-e-barq-e-dil-e-be-qarār dekh
jin se ye terī tāroñ bharī raat raat hai
gum ho ke har jagah haiñ za-ḳhud raftagān-e-ishq
un kī bhī ahl-e-kashf-o-karāmāt zaat hai
hastī ba-juz fanā-e-musalsal ke kuchh nahīñ
phir kis liye ye fikr-e-qarār-o-sabāt hai
us jān-e-dostī kā ḳhulūs-e-nihāñ na pūchh
jis kā sitam bhī ġhairat-e-sad-iltifāt hai
yuuñ to hazār dard se rote haiñ bad-nasīb
tum dil dukhāo vaqt-e-musībat to baat hai
unvān ġhaflatoñ ke haiñ qurbat ho yā visāl
bas fursat-e-hayāt 'firāq' ek raat hai
Top Urdushayar.com