ab aksar chup chup se raheñ haiñ yūñhī kabhū lab kholeñ haiñ
pahle 'firāq' ko dekhā hotā ab to bahut kam boleñ haiñ
din meñ ham ko dekhne vaalo apne apne haiñ auqāt
jaao na tum in ḳhushk āñkhoñ par ham rātoñ ko ro leñ haiñ
fitrat merī ishq-o-mohabbat qismat merī tanhā.ī
kahne kī naubat hī na aa.ī ham bhī kisū ke ho leñ haiñ
ḳhunuk siyah mahke hue saa.e phail jaa.eñ haiñ jal-thal par
kin jatanoñ se merī ġhazleñ raat kā juuḌā kholeñ haiñ
baaġh meñ vo ḳhvāb-āvar aalam mauj-e-sabā ke ishāroñ par
Daalī Daalī nauras patte sahj sahj jab Doleñ haiñ
uf vo laboñ par mauj-e-tabassum jaise karvaTeñ leñ kauñde
haa.e vo ālam-e-jumbish-e-mizhgāñ jab fitne par tauleñ haiñ
naqsh-o-nigār-e-ġhazal meñ jo tum ye shādābī paao ho
ham ashkoñ meñ kā.enāt ke nok-e-qalam ko Dubo leñ haiñ
in rātoñ ko harīm-e-nāz kā ik aalam hue hai nadīm
ḳhalvat meñ vo narm uñgliyāñ band-e-qabā jab kholeñ haiñ
ġham kā fasāna sunñe vaalo āḳhir-e-shab ārām karo
kal ye kahānī phir chheḌeñge ham bhī zarā ab so leñ haiñ
ham log ab to ajnabī se haiñ kuchh to batāo hāl-e-'firāq'
ab to tumhīñ ko pyaar kareñ haiñ ab to tumhīñ se boleñ haiñ