Firaq Gorakhpuri

mujhko mara hai har ek dard o dawa se pahle

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
mujh ko maarā hai har ik dard o davā se pahle
dī sazā ishq ne har jurm-o-ḳhatā se pahle
ātish-e-ishq bhaḌaktī hai havā se pahle
hoñT julte haiñ mohabbat meñ duā se pahle
fitne barpā hue har ġhuncha-e-sar-basta se
khul gayā rāz-e-chaman chāk-e-qabā se pahle
chaal hai bāda-e-hastī kā chhalaktā huā jaam
ham kahāñ the tire naqsh-e-kaf-e-pā se pahle
ab kamī kyā hai tire be-sar-o-sāmānoñ ko
kuchh na thā terī qasam tark-e-vafā se pahle
ishq-e-bebāk ko da.ave the bahut ḳhalvat meñ
kho diyā saarā bharam sharm-o-hayā se pahle
ḳhud-baḳhud chaak hue pairahan-e-lāla-o-gul
chal ga.ī kaun havā bād-e-sabā se pahle
ham-safar rāh-e-adam meñ na ho tāroñ-bharī raat
ham pahuñch jā.eñge is ābla-pā se pahle
parda-e-sharm meñ sad-barq-e-tabassum ke nisār
hosh jaate rahe nairañg-e-hayā se pahle
maut ke naam se Darte the ham ai shauq-e-hayāt
tū ne to maar hī Daalā thā qazā se pahle
be-takalluf bhī tirā husn-e-ḳhud-ārā thā kabhī
ik adā aur bhī thī husn-e-adā se pahle
ġhaflateñ hastī-e-fānī kī batā deñgī tujhe
jo mirā haal thā ehsās-e-fanā se pahle
ham unheñ pā ke 'firāq' aur bhī kuchh kho.e ga.e
ye takalluf to na the ahd-e-vafā se pahle
Top Urdushayar.com