zamīñ badlī falak badlā mazāq-e-zindagī badlā
tamaddun ke qadīm aqdār badle aadmī badlā
ḳhudā-o-ahrman badle vo īmān-e-duī badlā
hudūd-e-ḳhair-o-shar badle mazāq-e-kāfirī badlā
na.e insān kā jab daur-e-ḳhud-nā-āgahī badlā
rumūz-e-be-ḳhudī badle taqāzā-e-ḳhudī badlā
badalte jā rahe haiñ ham bhī duniyā ko badalne meñ
nahīñ badlī abhī duniyā to duniyā ko abhī badlā
na.ī manzil ke mīr-e-kārvāñ bhī aur hote haiñ
purāne ḳhizr-e-rah badle vo tarz-e-rahbarī badlā
kabhī sochā bhī hai ai nazm-e-kohna ke ḳhudā-vando
tumhārā hashr kyā hogā jo ye aalam kabhī badlā
udhar pichhle se ahl-e-māl-o-zar par raat bhārī hai
idhar bedārī-e-jamhūr kā andāz bhī badlā
zahe soz-e-ġham-e-ādam ḳhushā sāz-e-dil-e-ādam
isī ik sham.a kī lau ne jahān-e-tīrgī badlā
na.e mansūr haiñ sadiyoñ purāne sheḳh-o-qāzī haiñ
na fatve kufr ke badle na uzr-e-dār hī badlā
batā.e to batā.e us ko terī shoḳhī-e-pinhāñ
tirī chashm-e-tavajjoh hai ki tarz-e-be-ruḳhī badlā
ba-faiz-e-ādam-e-ḳhākī zamīñ sonā ugaltī hai
usī zarre ne daur-e-mehr-o-māh-o-mushtarī badlā
sitāre jāgte haiñ raat laT chhaTkā.e sotī hai
dabe paañv kisī ne aa ke ḳhvāb-e-zindagī badlā
'firāq' ham-navā-e-'mīr'-o-'ġhālib' ab na.e naġhme
vo bazm-e-zindagī badlī vo rañg-e-shā.irī badlā