Firaq Gorakhpuri

kuchh apna aashna kyun ai dil-e-nadan nahin hota

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
kuchh apnā āshnā kyuuñ ai dil-e-nādāñ nahīñ hotā
ki aa.e ye rañg gardish-e-daurāñ nahīñ hotā
ḳhushī ke vāste paidā huā hai kaun duniyā meñ
magar ham bhī ahl-e-dard ke shāyāñ nahīñ hotā
kabhī pābandiyoñ se chhuT ke bhī dam ghulne lagtā hai
dar-o-dīvār huuñ jis meñ vahī zindāñ nahīñ hotā
vahī hai misr meñ har kūcha-o-bāzār kī raunaq
magar har bikne vaalā yūsuf-e-kan.āñ nahīñ hotā
kabhī tañg aa ke us ke husn se inkār bhī kar le
koī be-kufr ke shā.ista-e-īmāñ nahīñ hotā
yaqīñ laa.eñ to kyā laa.eñ jo shak laa.eñ to kyā laa.eñ
ki bātoñ meñ tirī sach jhuuT kā imkāñ nahīñ hotā
hamārā tajraba ye hai ki ḳhush honā mohabbat meñ
kabhī mushkil nahīñ hotā kabhī āsāñ nahīñ hotā
ye vo parda hai jo doshīzgī ko aur chamkā de
siyah-kārī se husn ālūda-e-isyāñ nahīñ hotā
nigāh-e-ahl-e-dil se inqalāb aa.e haiñ duniyā meñ
yaqīñ rakh ishq itnā be-sar-o-sāmāñ nahīñ hotā
'firāq' ik ik se baḌh kar chāra-sāz-e-dard haiñ lekin
ye duniyā hai yahāñ har dard kā darmāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com