Firaq Gorakhpuri

ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
ho ke sar-tā-ba-qadam ālam-e-asrār chalā
jo chalā mai-kada-e-ishq se sarshār chalā
hamrah-e-husn ik amboh-e-ḳharīdār chalā
saath is jins ke bāzār kā bāzār chalā
na huā rāh-e-mohabbat meñ koī ohda-barā
jo subuk-dosh huā vo bhī girāñ-bār chalā
un kā jo haal ki pahle thā vahī haal rahā
tere ġham-kushtoñ se iqrār na inkār chalā
āsmāñ ho ki qayāmat ho ki ho tīr-e-qazā
chaal us fitna-e-daurāñ se har ik baar chalā
zauq-e-nazzāra usī kā hai jahāñ meñ tujh ko
dekh kar bhī jo liye hasrat-e-dīdār chalā
husn-e-kāfir se kisī kī na ga.ī pesh 'firāq'
shikva yāroñ kā na shukrāna-e-aġhyār chalā
Top Urdushayar.com