Firaq Gorakhpuri

kuchh ishaare the jinhen duniya samajh baiThe the hum

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
kuchh ishāre the jinheñ duniyā samajh baiThe the ham
us nigāh-e-āshnā ko kyā samajh baiThe the ham
rafta rafta ġhair apnī hī nazar meñ ho ga.e
vāh-rī ġhaflat tujhe apnā samajh baiThe the ham
hosh kī taufīq bhī kab ahl-e-dil ko ho sakī
ishq meñ apne ko dīvāna samajh baiThe the ham
parda-e-āzurdagī meñ thī vo jān-e-iltifāt
jis adā ko ranjish-e-bejā samajh baiThe the ham
kyā kaheñ ulfat meñ rāz-e-be-hisī kyūñkar khulā
har nazar ko terī dard-afzā samajh baiThe the ham
be-niyāzī ko tirī paayā sarāsar soz o dard
tujh ko ik duniyā se begāna samajh baiThe the ham
inqalāb-e-pai-ba-pai har gardish o har daur meñ
is zamīn o āsmāñ ko kyā samajh baiThe the ham
bhuul baiThī vo nigāh-e-nāz ahd-e-dostī
us ko bhī apnī tabī.at kā samajh baiThe the ham
saaf alag ham ko junūn-e-āshiqī ne kar diyā
ḳhud ko tere dard kā pardā samajh baiThe the ham
kaan bajte haiñ mohabbat ke sukūt-e-nāz ko
dāstāñ kā ḳhatm ho jaanā samajh baiThe the ham
bātoñ bātoñ meñ payām-e-marg bhī aa hī gayā
un nigāhoñ ko hayāt-afzā samajh baiThe the ham
ab nahīñ tāb-e-sipās-e-husn is dil ko jise
be-qrār-e-shikva-e-bejā samajh baiThe the ham
ek duniyā dard kī tasvīr niklī ishq ko
koh-kan aur qais kā qissa samajh baiThe the ham
rafta rafta ishq mānūs-e-jahāñ hotā chalā
ḳhud ko tere hijr meñ tanhā samajh baiThe the ham
husn ko ik husn hī samjhe nahīñ aur ai 'firāq'
mehrbāñ nā-mehrbāñ kyā kyā samajh baiThe the ham
Top Urdushayar.com