Firaq Gorakhpuri

kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
kisī kā yuuñ to huā kaun umr bhar phir bhī
ye husn o ishq to dhokā hai sab magar phir bhī
hazār baar zamāna idhar se guzrā hai
na.ī na.ī sī hai kuchh terī rahguzar phir bhī
kahūñ ye kaise idhar dekh yā na dekh udhar
ki dard dard hai phir bhī nazar nazar phir bhī
ḳhushā ishāra-e-paiham zahe sukūt-e-nazar
darāz ho ke fasāna hai muḳhtasar phir bhī
jhapak rahī haiñ zamān o makāñ kī bhī āñkheñ
magar hai qāfila āmāda-e-safar phir bhī
shab-e-firāq se aage hai aaj merī nazar
ki kaT hī jā.egī ye shām-e-be-sahar phir bhī
kahīñ yahī to nahīñ kāshif-e-hayāt-o-mamāt
ye husn o ishq ba-zāhir haiñ be-ḳhabar phir bhī
palaT rahe haiñ ġharīb-ul-vatan palaTnā thā
vo kūcha rū-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhī
luTā huā chaman-e-ishq hai nigāhoñ ko
dikhā gayā vahī kyā kyā gul o samar phir bhī
ḳharāb ho ke bhī sochā kiye tire mahjūr
yahī ki terī nazar hai tirī nazar phir bhī
ho be-niyāz-e-asar bhī kabhī tirī miTTī
vo kīmiyā hī sahī rah ga.ī kasar phir bhī
lipaT gayā tirā dīvāna garche manzil se
uḌī uḌī sī hai ye ḳhāk-e-rahguzar phir bhī
tirī nigāh se bachne meñ umr guzrī hai
utar gayā rag-e-jāñ meñ ye neshtar phir bhī
ġham-e-firāq ke kushtoñ kā hashr kyā hogā
ye shām-e-hijr to ho jā.egī sahar phir bhī
fanā bhī ho ke girāñ-bārī-e-hayāt na pūchh
uThā.e uTh nahīñ saktā ye dard-e-sar phir bhī
sitam ke rañg haiñ har iltifāt-e-pinhāñ meñ
karam-numā haiñ tire jaur sar-ba-sar phir bhī
ḳhatā-muāf tirā afv bhī hai misl-e-sazā
tirī sazā meñ hai ik shān-e-dar-guzar phir bhī
agarche be-ḳhudī-e-ishq ko zamāna huā
'firāq' kartī rahī kaam vo nazar phir bhī
Top Urdushayar.com