Firaq Gorakhpuri

kuchh bhi ayan nihan na tha koi zaman makan na tha

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
kuchh bhī ayaañ nihāñ na thā koī zamāñ makāñ na thā
der thī ik nigāh kī phir ye jahāñ jahāñ na thā
saaz vo qatre qatre meñ soz vo zarre zarre meñ
yaad tirī kise na thī dard tirā kahāñ na thā
ishq kī āzmā.isheñ aur fazāoñ meñ huiiñ
paañv tale zamīñ na thī sar pe ye āsmāñ na thā
ishq harīm-e-husn meñ apne sahāre rah gayā
sabr kā bhī pata na thā hosh kā bhī nishāñ na thā
ek ko ek kī ḳhabar manzil-e-ishq meñ na thī
koī bhī ahl-e-kārvāñ shāmil-e-kārvāñ na thā
ishq ne apnī jaan ko rog ka.ī lagā liye
hijr-o-visāl umīd-o-bīm kaun balā-e-jāñ na thā
ḳhalvatiyān-e-rāz se hāl-e-visāl-e-yār pūchh
husn bhī be-naqāb thā ishq bhī darmiyāñ na thā
daur-e-hayāt mahz thā is ke harīm-e-rāz meñ
kaif-o-asar kā zikr kyā ziist kā bhī nishāñ na thā
shikva-e-dar-guzar kyuuñ hai ki husn ishq se
itnā to bad-gumāñ na thā itnā to sar-garāñ na thā
Top Urdushayar.com