Firaq Gorakhpuri

be-Thikane hai dil-e-gham-ghin Thikane ki kaho

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
be-Thikāne hai dil-e-ġham-ghīñ Thikāne kī kaho
shām-e-hijrāñ dosto kuchh is ke aane kī kaho
haañ na pūchh ik giraftār-e-qafas kī zindagī
ham-safīrān-e-chaman kuchh āshiyāne kī kaho
uḌ gayā hai manzil-e-dushvār meñ ġham kā samand
gesū-e-pur-pech-o-ḳham ke tāziyāne kī kaho
baat bantī aur bātoñ se nazar aatī nahīñ
is nigāh-e-nāz kī bāteñ banāne kī kaho
dāstāñ vo thī jise dil bujhte bujhte kah gayā
sham-e-bazm-e-zindagī ke jhilmilāne kī kaho
kuchh dil-e-marhūm kī bāteñ karo ai ahl-e-ilm
jis se vīrāne the ābād us divāne kī kaho
dāstān-e-zindagī bhī kis qadar dilchasp hai
jo azal se chhiḌ gayā hai us fasāne kī kaho
ye fusūn-e-nīm-e-shab ye ḳhvāb-sāmāñ ḳhāmushī
sāmrī fan aañkh ke jaadū jagāne kī kaho
koī kyā khā.egā yuuñ sachchī qasam jhūTī qasam
us nigāh-e-nāz kī saugandh khāne kī kaho
shaam hī se gosh-bar-āvāz hai bazm-e-suḳhan
kuchh 'firāq' apnī sunāo kuchh zamāne kī kaho
Top Urdushayar.com