nigāh-e-nāz ne parde uThā.e haiñ kyā kyā
hijāb ahl-e-mohabbat ko aa.e haiñ kyā kyā
jahāñ meñ thī bas ik afvāh tere jalvoñ kī
charāġh-e-dair-o-haram jhilmilā.e haiñ kyā kyā
do-chār barq-e-tajallī se rahne vāloñ ne
fareb narm-nigāhī ke khaa.e haiñ kyā kyā
diloñ pe karte hue aaj aatī jaatī choT
tirī nigāh ne pahlū bachā.e haiñ kyā kyā
nisār nargis-e-mai-gūñ ki aaj paimāne
laboñ tak aa.e hue thartharā.e haiñ kyā kyā
vo ik zarā sī jhalak barq-e-kam-nigāhī kī
jigar ke zaḳhm-e-nihāñ muskurā.e haiñ kyā kyā
charāġh-e-tūr jale ā.ina-dar-ā.īna
hijāb barq-e-adā ne uThā.e haiñ kyā kyā
ba-qadr-e-zauq-e-nazar dīd-e-husn kyā ho magar
nigāh-e-shauq meñ jalve samā.e haiñ kyā kyā
kahīñ charāġh kahīñ gul kahīñ dil-e-barbād
ḳhirām-e-nāz ne fitne uThā.e haiñ kyā kyā
taġhāful aur baḌhā us ġhazāl-e-ra.anā kā
fusūn-e-ġham ne bhī jaadū jagā.e haiñ kyā kyā
hazār fitna-e-bedār ḳhvāb-e-rañgīñ meñ
chaman meñ ġhuncha-e-gul-rañg laa.e haiñ kyā kyā
tire ḳhulūs-e-nihāñ kā to aah kyā kahnā
sulūk uchaTTe bhī dil meñ samā.e haiñ kyā kyā
nazar bachā ke tire ishva-hā-e-pinhāñ ne
diloñ meñ dard-e-mohabbat uThā.e haiñ kyā kyā
payām-e-husn payām-e-junūñ payām-e-fanā
tirī nigah ne fasāne sunā.e haiñ kyā kyā
tamām husn ke jalve tamām mahrūmī
bharam nigāh ne apne gañvā.e haiñ kyā kyā
'firāq' rāh-e-vafā meñ subuk-ravī terī
baḌe-baḌoñ ke qadam Dagmagā.e haiñ kyā kyā