Firaq Gorakhpuri

ras mein Duba hua lahraata badan kya kahna

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
ras meñ Duubā huā lahrātā badan kyā kahnā
karvaTeñ letī huī sub.h-e-chaman kyā kahnā
nigah-e-nāz meñ ye pichhle pahar rañg-e-ḳhumār
niiñd meñ Duubī huī chandr-kiran kyā kahnā
bāġh-e-jannat pe ghaTā jaise baras ke khul jaa.e
ye suhānī tirī ḳhushbu-e-badan kyā kahnā
Thahrī Thahrī sī nigāhoñ meñ ye vahshat kī kiran
chauñke chauñke se ye āhū-e-ḳhutan kyā kahnā
ruup sañgīt ne dhārā hai badan kā ye rachāv
tujh pe lahlūt hai be-sāḳhta-pan kyā kahnā
jaise lahrā.e koī sho.ala-kamar kī ye lachak
sar-ba-sar ātish-e-sayyāl badan kyā kahnā
jis tarah jalva-e-firdos havāoñ se chhine
pairahan meñ tire rañgīnī-e-tan kyā kahnā
jalva-o-parde kā ye rañg dam-e-nazzāra
jis tarah adh-khule ghuñghaT meñ dulhan kyā kahnā
dam-e-taqrīr khil uThte haiñ gulistāñ kyā kyā
yuuñ to ik ġhuncha-e-nauras hai dahan kyā kahnā
dil ke ā.īne meñ is tarah utartī hai nigāh
jaise paanī meñ lachak jaa.e kiran kyā kahnā
lahlahātā huā ye qad ye lahaktā joban
zulf so mahkī huī rātoñ kā ban kyā kahnā
tū mohabbat kā sitāra to javānī kā suhāg
husn lau detā hai la.al-e-yaman kyā kahnā
terī āvāz saverā tirī bāteñ taḌkā
āñkheñ khul jaatī haiñ ejāz-e-suḳhan kyā kahnā
zulf-e-shab-gūñ kī chamak paikar-e-sīmīñ kī damak
dīp-mālā hai sar-e-gañg-o-jaman kyā kahnā
nīlgūñ shabnamī kapḌoñ meñ badan kī ye jot
jaise chhantī ho sitāroñ kī kiran kyā kahnā
Top Urdushayar.com