koī paiġhām-e-mohabbat lab-e-ejāz to de
maut kī aañkh bhī khul jā.egī āvāz to de
maqsad-e-ishq ham-āhañgī-e-juzv-o-kul hai
dard hī dard sahī dil bū-e-dam-sāz to de
chashm-e-maḳhmūr ke unvān-e-nazar kuchh to khuleñ
dil-e-ranjūr dhaḌakne kā kuchh andāz to de
ik zarā ho nasha-e-husn meñ andāz-e-ḳhumār
ik jhalak ishq ke anjām kī āġhāz to de
jo chhupā.e na chhupe aur batā.e na bane
dil-e-āshiq ko in āñkhoñ se koī raaz to de
muntazir itnī kabhī thī na fazā-e-āfāq
chheḌne hī ko huuñ pur-dard ġhazal saaz to de
ham asīrān-e-qafas aag lagā sakte haiñ
fursat-e-naġhma kabhī hasrat-e-parvāz to de
ishq ik baar mashiyyat ko badal saktā hai
indiya apnā magar kuchh nigah-e-nāz to de
qurb o dīdār to ma.alūm kisī kā phir bhī
kuchh pata sā falak-e-tafraqa-pardāz to de
manzileñ gard kī mānind uḌī jaatī haiñ
ablaq-e-dahr kuchh andāz-e-tag-o-tāz to de
kaan se ham to 'firāq' aañkh kā lete haiñ kaam
aaj chhup kar koī āvāz par āvāz to de