Firaq Gorakhpuri

firaq ek nai surat nikal to sakti hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
'firāq' ik na.ī sūrat nikal to saktī hai
ba-qaul us aañkh ke duniyā badal to saktī hai
tire ḳhayāl ko kuchh chup sī lag ga.ī varna
kahāniyoñ se shab-e-ġham bahal to saktī hai
urūs-e-dahr chale khā ke Thokareñ lekin
qadam qadam pe javānī ubal to saktī hai
palaT paḌe na kahīñ us nigāh kā jaadū
ki Duub kar ye chhurī kuchh uchhal to saktī hai
bujhe hue nahīñ itne bujhe hue dil bhī
fasurdagī meñ tabī.at machal to saktī hai
agar tū chāhe to ġham vaale shādmāñ ho jaa.eñ
nigāh-e-yār ye hasrat nikal to saktī hai
ab itnī band nahīñ ġham-kadoñ kī bhī rāheñ
havā-e-kūcha-e-mahbūb chal to saktī hai
kaḌe haiñ kos bahut manzil-e-mohabbat ke
mile na chhāñv magar dhuup Dhal to saktī hai
hayāt lau tah-e-dāmān-e-marg de uTThī
havā kī raah meñ ye sham.a jal to saktī hai
kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai varna
kisī se chhuT ke tabī.at sambhal to saktī hai
azal se soī hai taqdīr-e-ishq maut kī niiñd
agar jagā.iye karvaT badal to saktī hai
ġham-e-zamāna-o-soz-e-nihāñ kī aañch to de
agar na TuuTe ye zanjīr gal to saktī hai
sharīk-e-sharm-o-hayā kuchh hai bad-gumānī-e-husn
nazar uThā ye jhijak sī nikal to saktī hai
kabhī vo mil na sakegī maiñ ye nahīñ kahtā
vo aañkh aañkh meñ paḌ kar badal to saktī hai
badaltā jaa.e ġham-e-rozgār kā markaz
ye chaal gardish-e-ayyām chal to saktī hai
vo be-niyāz sahī dil matā-e-hech sahī
magar kisī kī javānī machal to saktī hai
tirī nigāh sahārā na de to baat hai aur
ki girte girte bhī duniyā sambhal to saktī hai
ye zor-o-shor salāmat tirī javānī bhī
ba-qaul ishq ke sāñche meñ Dhal to saktī hai
sunā hai barf ke TukḌe haiñ dil hasīnoñ ke
kuchh aañch pā ke ye chāñdī pighal to saktī hai
hañsī hañsī meñ lahū thūkte haiñ dil vaale
ye sar-zamīn magar la.al ugal to saktī hai
jo tū ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kahā
hazār narm ho ye baat khal to saktī hai
are vo maut ho yā zindagī mohabbat par
na kuchh sahī kaf-e-afsos mal to saktī hai
haiñ jis ke bal pe khaḌe sarkashoñ ko vo dhartī
agar kuchal nahīñ saktī nigal to saktī hai
huī hai garm lahu pī ke ishq kī talvār
yuuñ hī jilā.e jā ye shāḳh phal to saktī hai
guzar rahī hai dabe paañv ishq kī devī
subuk-ravī se jahāñ ko masal to saktī hai
hayāt se nigah-e-vāpsīñ hai kuchh mānūs
mire ḳhayāl se āñkhoñ meñ pal to saktī hai
na bhūlnā ye hai tāḳhīr husn kī tāḳhīr
'firāq' aa.ī huī maut Tal to saktī hai
Top Urdushayar.com