Firaq Gorakhpuri

aai hai kuchh na puchh qayamat kahan kahan

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
aa.ī hai kuchh na pūchh qayāmat kahāñ kahāñ
uf le ga.ī hai mujh ko mohabbat kahāñ kahāñ
betābī-o-sukūñ kī huiiñ manzileñ tamām
bahlā.eñ tujh se chhuT ke tabī.at kahāñ kahāñ
furqat ho yā visāl vahī iztirāb hai
terā asar hai ai ġham-e-furqat kahāñ kahāñ
har jumbish-e-nigāh meñ sad-kaif be-ḳhudī
bhartī phiregī husn kī niyyat kahāñ kahāñ
rāh-e-talab meñ chhoḌ diyā dil kā saath bhī
phirte liye hue ye musībat kahāñ kahāñ
dil ke ufaq tak ab to haiñ parchhā.iyāñ tirī
le jaa.e ab to dekh ye vahshat kahāñ kahāñ
ai nargis-e-siyāh batā de tire nisār
kis kis ko hai ye hosh ye ġhaflat kahāñ kahāñ
nairañg-e-ishq kī hai koī intihā ki ye
ye ġham kahāñ kahāñ ye masarrat kahāñ kahāñ
begānagī par us kī zamāne se ehtirāz
dar-parda us adā kī shikāyat kahāñ kahāñ
farq aa gayā thā daur-e-hayāt-o-mamāt meñ
aa.ī hai aaj yaad vo sūrat kahāñ kahāñ
jaise fanā baqā meñ bhī koī kamī sī ho
mujh ko paḌī hai terī zarūrat kahāñ kahāñ
duniyā se ai dal itnī tabī.at bharī na thī
tere liye uThā.ī nadāmat kahāñ kahāñ
ab imtiyāz-e-ishq-o-havas bhī nahīñ rahā
hotī hai terī chashm-e-ināyat kahāñ kahāñ
har gaam par tarīq-e-mohabbat meñ maut thī
is raah meñ khule dar-e-rahmat kahāñ kahāñ
hosh-o-junūñ bhī ab to bas ik baat haiñ 'firāq'
hotī hai us nazar kī sharārat kahāñ kahāñ
Top Urdushayar.com