Firaq Gorakhpuri

jaur-o-be-mehri-e-ighmaz pe kya rota hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
jaur-o-be-mehrī-e-iġhmāz pe kyā rotā hai
mehrbāñ bhī koī ho jā.egā jaldī kyā hai
kho diyā tum ko to ham pūchhte phirte haiñ yahī
jis kī taqdīr bigaḌ jaa.e vo kartā kyā hai
dil kā ik kaam jo hotā nahīñ ik muddat se
tum zarā haath lagā do to huā rakkhā hai
nigah-e-shoḳh meñ aur dil meñ haiñ choTeñ kyā kyā
aaj tak ham na samajh paa.e ki jhagḌā kyā hai
ishq se tauba bhī hai husn se shikve bhī hazār
kahiye to hazrat-e-dil aap kā manshā kyā hai
zīnat-e-dosh tirā nāma-e-a.amāl na ho
terī dastār se vaa.iz ye laTaktā kyā hai
haañ abhī vaqt kā ā.īna dikhā.e kyā kyā
dekhte jaao zamāna abhī dekhā kyā hai
na yagāne haiñ na begāne tirī mahfil meñ
na koī ġhair yahāñ hai na koī apnā hai
nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm
kuchh to is jām-e-labā-lab se abhī chhalkā hai
rāt-din phirtī hai palkoñ ke jo saa.e saa.e
dil mirā us nigah-e-nāz kā dīvānā hai
ham judā.ī se bhī kuchh kaam to le hī leñge
be-niyāzāna ta.alluq hī chhuTā achchhā hai
un se baḌh-chaḌh ke to ai dost haiñ yādeñ in kī
nāz-o-andāz-o-adā meñ tirī rakkhā kyā hai
aisī bātoñ se badaltī hai kahīñ fitrat-e-husn
jaan bhī de de agar koī to kyā hotā hai
tirī āñkhoñ ko bhī inkār tirī zulf ko bhī
kis ne ye ishq ko dīvāna banā rakkhā hai
dil tirā jaan tirī aah tirī ashk tire
jo hai ai dost vo terā hai hamārā kyā hai
dar-e-daulat pe duā.eñ sī sunī haiñ maiñ ne
dekhiye aaj faqīroñ kā kidhar pherā hai
tujh ko ho jā.eñge shaitān ke darshan vaa.iz
Daal kar muñh ko garebāñ meñ kabhī dekhā hai
ham kahe dete haiñ chāloñ meñ na aao un kī
sarvat-o-jāh ke ishvoñ se bacho dhokā hai
yahī gar aañkh meñ rah jaa.e to hai chiñgārī
qatra-e-ashk jo bah jaa.e to ik dariyā hai
zulf-e-shab-gūñ ke sivā nargis-e-jādū ke sivā
dil ko kuchh aur balāoñ ne bhī aa gherā hai
lab-e-ejāz kī saugand ye jhankār thī kyā
terī ḳhāmoshī ke mānind abhī kuchh TuuTā hai
daar par gaah nazar gaah sū-e-shahr-e-nigār
kuchh suneñ ham bhī to ai ishq irāda kyā hai
aa ki ġhurbat-kada-e-dahr meñ jī bahlā.eñ
ai dil us jalva-gah-e-nāz meñ kyā rakkhā hai
zaḳhm hī zaḳhm huuñ maiñ sub.h kī mānind 'firāq'
raat bhar hijr kī lazzat se mazā luuTā hai
Top Urdushayar.com