ye maut-o-adam kaun-o-makāñ aur hī kuchh hai
sun le ki mirā nām-o-nishāñ aur hī kuchh hai
itnā to yaqīñ hai ki vahī haiñ tirī āñkheñ
is par bhī magar vahm-o-gumāñ aur hī kuchh hai
sho.aloñ meñ vo andāz kahāñ soz-e-nihāñ ke
uThtā hai jo dil se vo dhuāñ aur hī kuchh hai
ik kaifiyat-e-rāz hai ġham hai na masarrat
is bazm-e-mohabbat meñ samāñ aur hī kuchh hai
jo marhala-e-qurbat-o-dūrī se guzar jaa.e
sunte haiñ ki vo jazb-e-nihāñ aur hī kuchh hai
yā dard ke naġhmoñ meñ vahī hai tirī āvāz
yā parda-e-sāz-e-rag-e-jāñ aur hī kuchh hai
ye niiñd kā jhoñkā to nahīñ be-ḳhudī-e-ishq
hushyār ki vo ḳhvāb-e-girāñ aur hī kuchh hai
ab maut bhī hai gard-rah-e-kūcha-e-jānāñ
un manziloñ meñ umr-e-ravāñ aur hī kuchh hai
achchhe haiñ jahāñ haiñ magar ai dāman-e-jānāñ
paate haiñ jo tujh meñ vo amaañ aur hī kuchh hai
bijlī ke chamakne meñ kahāñ ishq kī garmī
vo shola-e-larzāñ-o-tapāñ aur hī kuchh hai
jo zaḳhm khilā de jo mirā rañg uḌā de
vo fasl-e-gul o fasl-e-ḳhizāñ aur hī kuchh hai
ik ḳhvāb-e-parīshāñ se haiñ is daur ke āsār
hushyār ki ab rañg-e-jahāñ aur hī kuchh hai
ik chiiz hai nairañgī-e-rudād-e-mohabbat
lekin ba-hadīs-e-digarāñ aur hī kuchh hai
shā.ir haiñ 'firāq' aur bhī is daur meñ lekin
ye rañg-e-bayāñ rañg-e-zabāñ aur hī kuchh hai