ye narm narm havā jhilmilā rahe haiñ charāġh
tire ḳhayāl kī ḳhushbū se bas rahe haiñ dimāġh
diloñ ko tere tabassum kī yaad yuuñ aa.ī
ki jagmagā uTheñ jis tarah mandiroñ meñ charāġh
jhalaktī hai khiñchī shamshīr meñ na.ī duniyā
hayāt o maut ke milte nahīñ haiñ aaj dimāġh
harīf-e-sīna-e-majrūh o ātish-e-ġham-e-ishq
na gul kī chāk-garebāniyāñ na laale ke daaġh
vo jin ke haal meñ lau de uThe ġham-e-fardā
vahī haiñ anjuman-e-zindagī ke chashm-o-charāg
tamām sho.ala-e-gul hai tamām mauj-e-bahār
ki tā-had-e-nigah-e-shauq lahlahāte haiñ baaġh
na.ī zamīn nayā āsmāñ na.ī duniyā
sunā to hai ki mohabbat ko in dinoñ hai farāġh
jo tohmateñ na uThīñ ik jahāñ se un ke samet
gunāhgār-e-mohabbat nikal ga.e be-dāġh
jo chhup ke tāroñ kī āñkhoñ se paañv dhartā hai
usī ke naqsh-e-kaf-e-pā se jal uThe haiñ charāġh
jahān-e-rāz huī jā rahī hai aañkh tirī
kuchh is tarah vo diloñ kā lagā rahī hai surāġh
zamāna kuud paḌā aag meñ yahī kah kar
ki ḳhuun chaaT ke ho jā.egī ye aag bhī baaġh
nigāheñ matl.a-e-nau par haiñ ek aalam kī
ki mil rahā hai kisī phūTtī kiran kā surāġh
diloñ meñ dāġh-e-mohabbat kā ab ye aalam hai
ki jaise niiñd meñ Duube hoñ pichhlī raat charāġh
'firāq' bazm-e-charāġhāñ hai mahfil-e-rindāñ
saje haiñ pighlī huī aag se chhalakte ayāġh