Firaq Gorakhpuri

mai-kade mein aaj ek duniya ko izn-e-am tha

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
mai-kade meñ aaj ik duniyā ko izn-e-ām thā
daur-e-jām-e-be-ḳhudī begāna-e-ayyām thā
ruuh larzāñ aañkh mahv-e-dīd dil kā naam thā
ishq kā āġhāz bhī shā.ista-e-anjām thā
rafta rafta ishq ko tasvīr-e-ġham kar hī diyā
husn bhī kitnā ḳharāb-e-gardish-e-ayyām thā
ġham-kade meñ dahr ke yuuñ to añdherā thā magar
ishq kā dāġh-e-siyah-baḳhtī charāġh-e-shām thā
terī duzdīda-nigāhī yuuñ to nā-mahsūs thī
haañ magar daftar kā daftar husn kā paiġhām thā
shaaq ahl-e-shauq par thiiñ us kī ismat-dāriyāñ
sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-nām thā
mahv the gulzār-e-rañgā-rañg ke naqsh-o-nigār
vahshateñ thī dil ke sannāTe the dasht-e-shām thā
be-ḳhatā thā husn har jaur-o-jafā ke ba.ad bhī
ishq ke sar tā-abad ilzām hī ilzām thā
yuuñ garebāñ-chāk duniyā meñ nahīñ hotā koī
har khulā gulshan shahīd-e-gardish-e-ayyām thā
dekh husn-e-sharmagīñ dar-parda kyā laayā hai rañg
ishq rusvā-e-jahāñ badnām hī badnām thā
raunaq-e-bazm-e-jahāñ thā go dil-e-ġham-ghīñ 'firāq'
sard thā afsurda thā mahrūm thā nākām thā
Top Urdushayar.com