Firaq Gorakhpuri

bahsen chhiDi hui hain hayat-o-mamat ki

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
bahseñ chhiḌī huī haiñ hayāt-o-mamāt kī
sau baat ban ga.ī hai 'firāq' ek baat kī
sāz-navā-e-dard hijābāt-e-dahr meñ
kitnī dukhī huī haiñ rageñ kā.enāt kī
rakh lī jinhoñ ne kashmakash-e-zindagī kī laaj
be-dardiyāñ na pūchhiye un se hayāt kī
yuuñ fart-e-be-ḳhudī se mohabbat meñ jaan de
tujh ko bhī kuchh ḳhabar na ho is vārdāt kī
hai ishq us tabassum-e-jāñ-baḳhsh kā shahīd
rañgīniyāñ liye hai jo sub.h-e-hayāt kī
chheḌā hai dard-e-ishq ne tār-e-rag-e-adam
sūrat pakaḌ chalī haiñ navā.eñ hayāt kī
shām-e-abad ko jalva-e-sub.h-e-bahār de
rūdād chheḌ zindagī-e-be-sabāt kī
us bazm-e-be-ḳhudī meñ vajūd-e-adam kahāñ
chaltī nahīñ hai saañs hayāt-o-mamāt kī
sau dard ik tabassum-e-pinhāñ meñ band haiñ
tasvīr huuñ 'firāq' nashāt-e-hayāt kī
Top Urdushayar.com