Firaq Gorakhpuri

tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
tuur thā ka.aba thā dil thā jalva-zār-e-yār thā
ishq sab kuchh thā magar phir ālam-e-asrār thā
nashsha-e-sad-jām kaif-e-intizār-e-yār thā
hijr meñ Thahrā huā dil sāġhar-e-sarshār thā
alvidā.a ai bazm-e-anjum hijr kī shab al-firāq
tā-ba-daur-e-zindagānī intizār-e-yār thā
ek adā se be-niyāz-e-qurb-o-dūrī kar diyā
māvrā-e-vasl-o-hijrāñ husn kā iqrār thā
jauhar-e-ā.īna-e-ālam bane aañsū mire
yuuñ to sach ye hai ki ronā ishq meñ bekār thā
shoḳhī-e-raftār vaj.h-e-hastī-e-barbād thī
zindagī kyā thī ġhubār-e-rahguzār-e-yār thā
ulfat-e-derīna kā jab zikr ishāroñ meñ kiyā
muskurā kar mujh se pūchhā tum ko kis se pyaar thā
dil-dukhe ro.e haiñ shāyad is jagah ai kū-e-dost
ḳhaak kā itnā chamak jaanā zarā dushvār thā
zarra zarra aa.ina thā ḳhud-numā.ī kā 'firāq'
sar-ba-sar sahrā-e-ālam jalva-zār-e-yār thā
Top Urdushayar.com