lutf-sāmāñ itāb-e-yār bhī hai
mahram-e-ishq sharmsār bhī hai
sust-paimān o be-niyāz sahī
husn tasvīr-e-intizār bhī hai
kyā kare vo nigāh-e-lutf ki ishq
shādmāñ bhī hai sogvār bhī hai
gulshan-e-ishq huuñ ḳhizāñ merī
vaj.h-e-rañgīnī-e-bahār bhī hai
uqda-e-ishq ko na tū samjhā
yahī uqda kushūd-e-kār bhī hai
apnī taqdīr apne haath meñ le
shāmil-e-jabr iḳhtiyār bhī hai
aap apnā chaḌhāv apnā utaar
zindagī nashsha hai ḳhumār bhī hai
un nigāhoñ meñ hai shikāyat sī
ishq shāyad jafā-shi.ār bhī hai
dil se hai duur bhī nigāh tirī
dil ke andar hai dil ke paar bhī hai
sar-ba-sar ġharq-e-nūr ho lekin
zindagī iktisāb-e-nār bhī hai
kaun tarġhīb-e-hosh de ki junūñ
be-ḳhabar bhī hai hoshiyār bhī hai
ḳhalvat-e-husn-o-ishq bhī hai udaas
sard kuchh bazm-e-rozgār bhī hai
raaz us aañkh kā nahīñ khultā
dil shakebā bhī be-qarār bhī hai
ḳhud tujhe bhī huī na jin kī ḳhabar
un jafāoñ kā kuchh shumār bhī hai
is meñ lākhoñ nizām-e-shamsī haiñ
yuuñ to dil tīra-rozgār bhī hai
is kī zau us kī garmiyāñ mat pūchh
zindagī nuur bhī hai naar bhī hai
ishq-e-hijrāñ-nasīb kā bhī hai dhyān
tire va.ade kā e'tibār bhī hai
ishq hī se haiñ manzileñ ābād
kārvāñ kārvāñ pukār bhī hai
koī samjhā use na dekh sakā
nigah-e-shoḳh sharmsār bhī hai
us se chhuT kar ye sochtā huuñ 'firāq'
is meñ kuchh apnā iḳhtiyār bhī hai