Firaq Gorakhpuri

sitaron se ulajhta ja raha hun

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
sitāroñ se ulajhtā jā rahā huuñ
shab-e-furqat bahut ghabrā rahā huuñ
tire ġham ko bhī kuchh bahlā rahā huuñ
jahāñ ko bhī samajhtā jā rahā huuñ
yaqīñ ye hai haqīqat khul rahī hai
gumāñ ye hai ki dhoke khā rahā huuñ
agar mumkin ho le le apnī aahaT
ḳhabar do husn ko maiñ aa rahā huuñ
hadeñ husn-o-mohabbat kī milā kar
qayāmat par qayāmat Dhā rahā huuñ
ḳhabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat
tire hāthoñ meñ luTtā jā rahā huuñ
asar bhī le rahā huuñ terī chup kā
tujhe qaa.il bhī kartā jā rahā huuñ
bharam tere sitam kā khul chukā hai
maiñ tujh se aaj kyuuñ sharmā rahā huuñ
unhīñ meñ raaz haiñ gul-bāriyoñ ke
maiñ jo chiñgāriyāñ barsā rahā huuñ
jo un ma.asūm āñkhoñ ne diye the
vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ
tire pahlū meñ kyuuñ hotā hai mahsūs
ki tujh se duur hotā jā rahā huuñ
had-e-jor-o-karam se baḌh chalā husn
nigāh-e-yār ko yaad aa rahā huuñ
jo uljhī thī kabhī aadam ke hāthoñ
vo gutthī aaj tak suljhā rahā huuñ
mohabbat ab mohabbat ho chalī hai
tujhe kuchh bhūltā sā jā rahā huuñ
ajal bhī jin ko sun kar jhūmtī hai
vo naġhme zindagī ke gā rahā huuñ
ye sannāTā hai mere paañv kī chaap
'firāq' apnī kuchh aahaT pā rahā huuñ
Top Urdushayar.com