Firaq Gorakhpuri

aankhon mein jo baat ho gai hai

Firaq Gorakhpuri

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1896-1982
āñkhoñ meñ jo baat ho ga.ī hai
ik sharh-e-hayāt ho ga.ī hai
jab dil kī vafāt ho ga.ī hai
har chiiz kī raat ho ga.ī hai
ġham se chhuT kar ye ġham hai mujh ko
kyuuñ ġham se najāt ho ga.ī hai
muddat se ḳhabar milī na dil kī
shāyad koī baat ho ga.ī hai
jis shai pe nazar paḌī hai terī
tasvīr-e-hayāt ho ga.ī hai
ab ho mujhe dekhiye kahāñ sub.h
un zulfoñ meñ raat ho ga.ī hai
dil meñ tujh se thī jo shikāyat
ab ġham ke nikāt ho ga.ī hai
iqrār-e-gunāh-e-ishq sun lo
mujh se ik baat ho ga.ī hai
jo chiiz bhī mujh ko haath aa.ī
terī sauġhāt ho ga.ī hai
kyā jāniye maut pahle kyā thī
ab merī hayāt ho ga.ī hai
ghaTte ghaTte tirī ināyat
merī auqāt ho ga.ī hai
us chashm-e-siyah kī yaad yaksar
shām-e-zulmāt ho ga.ī hai
is daur meñ zindagī bashar kī
bīmār kī raat ho ga.ī hai
jiitī huī bāzī-e-mohabbat
khelā huuñ to maat ho ga.ī hai
miTne lagīñ zindagī kī qadreñ
jab ġham se najāt ho ga.ī hai
vo chāheñ to vaqt bhī badal jaa.e
jab aa.e haiñ raat ho ga.ī hai
duniyā hai kitnī be-Thikāna
āshiq kī barāt ho ga.ī hai
pahle vo nigāh ik kiran thī
ab barq-sifāt ho ga.ī hai
jis chiiz ko chhū diyā hai tū ne
ik barg-e-nabāt ho ga.ī hai
ikkā-dukkā sadā-e-zanjīr
zindāñ meñ raat ho ga.ī hai
ek ek sifat 'firāq' us kī
dekhā hai to zaat ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com