Nasir Amrohvi

shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas

Nasir Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1985
shab-e-visāl jo pahnā tire badan kā libās
tamām umr na bhāyā kisī bhī tan kā libās
ajiib sañg tarāshā hai dast-e-qudrat ne
tire badan pe qayāmat hai bāñkpan kā libās
hameñ hai shauq tirā maḳhmalīñ badan pahneñ
ḳhafā hai ham se yuuñ nargis kā nastaran kā libās
maiñ sher kahte hue bhī usī ko sochtā huuñ
basā hai us kī hī ḳhushbū meñ fikr-o-fan kā libās
maiñ us ke jism ke har zāviye ko bhāñp gayā
pahan ke aayā thā zālim ajab chalan kā libās
vo surḳh-posh zarā der ko chaman meñ gayā
to ek lamhe meñ phīkā paḌā chaman kā libās
tirī hī zaat to mehvar hai shā.irī kā mirī
tire ḳhayāl ko detā huuñ maiñ suḳhan kā libās
Top Urdushayar.com