hālat-e-harf kis ne jaanī hai
ye jahāñ ḳhūgar-e-ma.ānī hai
kyā lage qīmat-e-qabā-e-suḳhan
ye na.ī ho ke bhī purānī hai
ek duniyā thii, jis ke malbe se
ek duniyā mujhe banānī hai
raah meñ hai badan kī ik dīvār
jo mujhe nāḳhunoñ se Dhānī hai
ye jahāñ raqs meñ nahīñ yūñhī
sab mire ḳhuun kī ravānī hai
aur kuchh din hai ye fareb-e-visāl
aur kuchh din ye ḳhush-gumānī hai
surḳh ho ai mirī qamīz-e-safed
apnī qīmat mujhe baḌhānī hai
haañ tabī.at to Thiik hai merī
ik zarā rañj-e-rā.egānī hai