Arif Imam

sab lahu jam gaya ubaal ke bich

Arif Imam

1956
sab lahū jam gayā ubaal ke biich
kaun yaad aa gayā visāl ke biich
ek vaqfa hai zindagī-bhar kā
zaḳhm ke aur indimāl ke biich
aan baiThā hai ek andesha
guftugū aur arz-e-hāl ke biich
taal detī hai jab kabhī vahshat
raqs kartā huuñ maiñ ḳhayāl ke biich
kabhī mātam miyān-e-raqs kiyā
kabhī sajda kiyā dhamāl ke biich
ek parda hai be-sabātī kā
ā.īne aur tire jamāl ke biich
ik baras ho gayā use dekhe
ik sadī aa ga.ī hai saal ke biich
mere dāman ko dhone vaalā hai
ek aañsū jo hai rumāl ke bech
Top Urdushayar.com