nafas kī āmad-o-shud ko vabāl kar ke bhī
vo ḳhush nahīñ hai hamārā ye haal kar ke bhī
ajab thā nashsha-e-vāraftagī-e-vasl use
vo tāza-dam rahā mujh ko niDhāl kar ke bhī
hameñ aziiz hamesha rahī hai nisbat-e-ḳhāk
ye sar jhukā rahā kasb-e-kamāl kar ke bhī
lo ham na kahte the ham ko nahīñ umīd-e-javāb
lo ham ne dekh liyā hai savāl kar ke bhī
ye ek umr purānī sharāb hai yaaro
ḳhumār-e-hijr rahegā visāl kar ke bhī
usī ke naam kā sajda kiyā musalle par
usī kā zikr kiyā hai dhamāl kar ke bhī
sharāb dāna-e-añgūr se barābar khīñch
par ek kuuza kashīd-e-ḳhayāl kar ke bhī