Arif Imam

kuchh aise zaKHm-e-zamana ka indimal kiya

Arif Imam

1956
kuchh aise zaḳhm-e-zamāna kā indimāl kiyā
kabhī namāz paḌhī aur kabhī dhamāl kiyā
lagā.ī zarb-e-shadīd apne dil pe mastī meñ
ḳhudā se TuuTā huā rābta bahāl kiyā
usī kī baat likhī chāhe kam likhī ham ne
usī kā zikr kiyā chāhe ḳhāl-ḳhāl kiyā
lo ham ne Dhaal liyā ḳhud ko us ke paikar meñ
lo ham ne hijr ke arse ko bhī visāl kiyā
tumhāre hijr meñ marnā thā kaun sā mushkil
tumhāre hijr meñ zinda haiñ ye kamāl kiyā
Top Urdushayar.com