un ke milne kā ba-zāhir to yaqīñ koī nahīñ
vo agar chāheñ koī shak hai nahīñ koī nahīñ
ai junūñ terī ināyat se hai tanhā.ī nasīb
aur to saare bayābāñ meñ kahīñ koī nahīñ
mutma.in jab the to himmat kā thā saath apne hujūm
Dar jahāñ hone lagā ham ko vahīñ koī nahīñ
ishq kī rāhoñ meñ aayā hai ik aisā bhī maqām
sirf ik maiñ huuñ vahāñ ahl-e-zamīñ koī nahīñ
ek din naqsh-e-qadam par mire ban jā.egī raah
aaj sahrā meñ to tanhā huuñ kahīñ koī nahīñ