buland ziist kā apnī vaqār ho na sakā
tirī nazar meñ mirā pyaar pyaar ho na sakā
zamāna zindagī kā sāzgār ho na sakā
jiye zarūr magar e'tibār ho na sakā
tirā vaqār mukammal vaqār ho na sakā
kisī se tujh ko zamāne meñ pyaar ho na sakā
zamāna saarā huā hai tumhārā mahram-e-rāz
na ho sakā to mirā e'tibār ho na sakā
hayāt guzrī zamāne kī ġham-gusārī meñ
magar koī bhī mirā ġham-gusār ho na sakā