Javed Saba

mahsus karoge to guzar jaoge jaan se

Javed Saba

Karachi, Sindh, Pakistan

1958
mahsūs karoge to guzar jāoge jaañ se
vo haal hai andar se ki bāhar hai bayāñ se
vahshat kā ye aalam ki pas-e-chāk garebāñ
ranjish hai bahāroñ se ulajhte haiñ ḳhizāñ se
ik umr huī us ke dar-o-bām ko takte
āvāz koī aa.ī yahāñ se na vahāñ se
uThte haiñ to dil baiThne lagtā hai sar-e-bazm
baiThe haiñ to ab mar ke hī uTheñge yahāñ se
har moḌ pe vā haiñ mirī āñkhoñ ke darīche
ab dekhnā ye hai ki vo jaatā hai kahāñ se
kyā nāvak-e-mizhgāñ se rakheñ zaḳhm kī ummīd
chalte haiñ yahāñ tiir kisī aur kamāñ se
āñkhoñ se ayaañ hotā hai aalam mire dil kā
matlab hai is aalam ko zabāñ se na bayāñ se
Top Urdushayar.com