Javed Saba

tujhko pane ki ye hasrat mujhe le Dubegi

Javed Saba

Karachi, Sindh, Pakistan

1958
tujh ko paane kī ye hasrat mujhe le Dūbegī
lag rahā hai ki mohabbat mujhe le Dūbegī
hālat-e-ishq meñ huuñ aur ye hālat hai ki ab
ek lamhe kī bhī fursat mujhe le Dūbegī
ab maiñ samjhā huuñ ki ye dard-e-mohabbat kyā hai
ye tire pyaar kī shiddat mujhe le Dūbegī
merī betābi-e-dil chain na lene degī
terī ḳhāmosh tabī.at mujhe le Dūbegī
terī āñkhoñ ke samundar meñ ḳhayāloñ kī tarah
Duub jaane kī ye aadat mujhe le Dūbegī
Dūbtī nabz kahīñ kā nahīñ chhoḌegī mujhe
dard le Dūbegā vahshat mujhe le Dūbegī
terī āñkhoñ kā ye jaadū kahīñ le jā.egā
ye tirī saada sī sūrat mujhe le Dūbegī
tere ashkoñ se kaleja mirā kaT jā.egā
merī hassās tabī.at mujhe le Dūbegī
har qadam par maiñ tirā bojh uThā.ūñ kaise
zindagī terī zarūrat mujhe le Dūbegī
Top Urdushayar.com