mātam-e-rañj-o-alam ġham haiñ baham chāroñ ek
sitam-o-jaur-jafā nāz-o-sanam chāroñ ek
jab aTaktā hai jo dil kuchh nahīñ chhoḌe baaqī
nañg-o-nāmūs hayā aur sharam chāroñ ek
ishq-bāzāñ ke ta.iiñ ishq meñ tere ai yaar
masjid-o-madrasa-o-dair-o-haram chāroñ ek
farq hargiz nahīñ jo tujh se milāve āñkheñ
tiir aur ḳhanjar-o-jamdhar ke zaḳham chāroñ ek
zulf juuñ mār-e-siyah qad jo daraḳht-e-chandan
aaj dekh aa.e haiñ is taur se ham chāroñ ek
yaar aur āshiq-o-sāqī-o-sharāb-o-sabza
dekhtā hai koī yak jaa.e pe kam chāroñ ek
bhuul jaate haiñ sabhī bazm meñ mah-rūyoñ kī
aql-o-dānish-o-tamīz aur faham chāroñ ek
huuñ tirā ai sanamā is vaz.a se farmāñ-bardār
sārbān-o-nafar-o-banda ḳhadam chāroñ ek
ġhair vaslat ke tire aur na ḳhvāhish apnī
kyā talā nuqra-o-dīnār-o-diram chāroñ ek
uTh gayā qaum se ashrāf ke haihāt afsos
ishrat-o-aish kahāñ jāh-o-hasham chāroñ ek
raushnā.ī-o-zabāñ tohfa kare qissa bayāñ
jis ghaḌī hote haiñ kāġhaz-o-qalam chāroñ ek
bhuul jā shauq meñ vaslat ke tū sab ko ai dil
dozaḳh-o-jannat o a.arāf o adam chāroñ ek
vāste tere muqarrar haiñ dil andesha na kar
mehrbānī-o-atā fazl-o-karam chāroñ ek
hai shujā.at va saḳhā hilm-o-hayā 'qāsim-alī'
shaan meñ sher-e-ḳhudā ke haiñ ḳhatam chāroñ ek