Qasim Ali Khan Afridi

banda-parwar jo na pachhtaiyega

Qasim Ali Khan Afridi

banda-parvar jo na pachhtā.iyegā
banda-ḳhāna pe kabhī ā.iyegā
yaad kījegā mohabbat aglī
ġhair ke milne se sharmā.iyegā
bosa dījegā gale lag lag kar
zyāda aur mujh ko na bakvā.iyegā
mere ġhammāz ko apne dar se
dhakke yakbār to divā.iyegā
husn ke sadqe mirī ḳhātir se
kadar-e-dil zarā dhulvā.iyegā
sitam-o-jaur-o-jafā kā sheva
chhoḌ dījegā na bal khā.iyegā
tāqat-o-sabr tahammul merā
le ke kuchh aur hī farmā.iyegā
zindagī hijr meñ honā ma.alūm
jī meñ aatā hai ki mar jā.iyegā
zulf meñ dil ko phañsā kar mere
aap shāne se na suljhā.iyegā
said matlūb ho to banda kā sar
apne fitrāk se laTkā.iyegā
arz 'afrīdī' kī kiije manzūr
aap tashrīf idhar lā.iyegā
gar na mānoge mirī baat suno
phir na mere ta.iiñ samjhā.iyegā
yaañ pe mauqūf hai kyā 'afrīdī'
muñh na phir hashr ko dikhlā.iyegā
Top Urdushayar.com