jī rahe yā na rahe har qadam-e-yār na chhoḌ
ai patañge tū kabhī sham.a kā anvār na chhoḌ
sham.a tujh ko bhī munāsib tū vahāñ tak jal jā
sar se tā paa.e tilak rishta-e-zunnār na chhoḌ
lab-e-shīrīñ se agar ho na tirā lab shīrīñ
kohkan tū bhī to ab dāman-e-kohsār na chhoḌ
liilā haath aave na aave mile jo nāqa-savār
hāl-e-ġham se vo kare man.a par iz.hār na chhoḌ
lafz tū ne jo kahe haiñ vo hī haq ai mansūr
kalimatul-haq ko magar tā-ba-dam-e-dār na chhoḌ
ai zuleḳhā mah-e-kan.āñ ko le de maal matā.a
pesh baa.e ke koī mushtarī zinhār na chhoḌ
is nasīhat ko mirī maan ba-qaul 'afrīdī'
jī rahe yā na rahe par qadam-e-yār na chhoḌ