Qasim Ali Khan Afridi

aashiq-e-soKHta-dil KHatt-e-sanam donon ek

Qasim Ali Khan Afridi

āshiq-e-soḳhta-dil ḳhatt-e-sanam donoñ ek
jis tarah suniye judā shādī-o-ġham donoñ ek
donoñ bātin meñ agar ek haiñ lekin koī
āb-o-ātish nahīñ rakhtā hai baham donoñ ek
hai judā sajde kī jā hindū musalmāñ kī magar
fahm vāloñ ke ta.iiñ dair-o-haram donoñ ek
kuhl karte haiñ ham āñkhoñ meñ barābar dono
surma-e-kor ko aur ḳhāk-e-qadam donoñ ek
jab phañsā zulf meñ jā dil na rahā nañg-o-hayā
taaq par rakhiye vahāñ nañg-o-sharam donoñ ek
bār-e-ġham hijr paḌā sar pe kisī ke us dam
ḳhaak meñ diije milā aql-o-faham donoñ ek
evaz-e-hijr na luuñ aish tamām aalam kā
hai azal se mujhe farmān-e-hakam donoñ ek
dil meñ armāñ na rahā baaqī jo chāhā so kiyā
sair duniyā kī bhī aur sair-e-adam donoñ ek
yaar āġhosh meñ apne hai muhayyā har-dam
bas hai ye mere ta.iiñ jāh-o-hasham donoñ ek
aarzū 'qāsim-alī' dil meñ nahīñ kuchh lekin
chāhiye apne ta.iiñ fazl-o-karam donoñ ek
Top Urdushayar.com