Qasim Ali Khan Afridi

abr san har-chand rakkha chashm ko pur-ab hum

Qasim Ali Khan Afridi

abr saañ har-chand rakkhā chashm ko pur-āb ham
kar sake par kisht ulfat kā nahīñ shādāb ham
hijr kī ātish ne aisā qurb-e-dil paidā kiyā
be-qarārāna taḌapte ab haiñ juuñ sīmāb ham
chhā ga.iiñ zulfeñ kisī mukhḌe pe juuñ ākās puuñ
ḳhud-baḳhud khāte haiñ pech-o-tāb juuñ lailāb ham
gard-bād-āsā paḌe phirte haiñ bāġh-o-rāġh meñ
maskan-o-māvā kahāñ rakhte haiñ dar-yak-bāb ham
dekh lene de tū apne kaan kā būñdā hameñ
phir kahāñ pāveñge zālim ye dur-e-nāyāb ham
zindagī phuslā ke laa.ī yaañ hazār afsos aah
phañs ga.e be-tarah is duniyā ke dar ḳhullāb ham
yaañ hai fikr-e-ma.īshat vaañ hai andesha ma.aad
haiñ ba-girdāb-e-ġham-e-duniyā-e-dūñ ġharqāb ham
munkashif hotī haqīqat marg gar roz-e-alast
hargiz ai dahr az adam karte nahīñ peshāb ham
mat kar 'afrīdī' ko is maslaḳh meñ pāband āḳhirash
zab.h ho jāveñge tere haath ai qassāb ham
Top Urdushayar.com