Qasim Ali Khan Afridi

kufr-e-ishq aaya badal mujh momin-e-din-dar tak

Qasim Ali Khan Afridi

kufr-e-ishq aayā badal mujh momin-e-dīñ-dār tak
naubat-e-bā-sandal-o-qashqa hai bal zunnār tak
ashT kā ashlok ik rāhib ne but-ḳhāne ke biich
mujh ko batlāyā ki bhūlā ġhair zikr-azkār tak
sho.abada duniyā kā kam fursat bahut hai juuñ hubāb
zindagī hai tā-zamāna va.ada-e-iqrār tak
kaam hai matlab se chāhe kufr hove yā ki diiñ
jā pahuñchtā hai kisī sūrat se apne yaar tak
'āfrīdī' chhoḌ mat hargiz dar-e-pīr-e-muġhāñ
haath aave duḳhtar-e-raz sāġhar-e-sarshār tak
Top Urdushayar.com