Javed Saba

sab ka dildar hai dildar bhi aisa waisa

Javed Saba

Karachi, Sindh, Pakistan

1958
sab kā dildār hai dildār bhī aisā vaisā
ik mirā yaar hai aur yaar bhī aisā vaisā
dushman-e-jāñ bhī nahīñ koī barābar us ke
aur mirā hāshiya-bardār bhī aisā vaisā
be-ta.alluq hī sahī us ko magar hai mujh se
ik sarokār sarokār bhī aisā vaisā
us kā lahja ki bahut saada o māsūm sahī
hai fusūñ-kār fusūñ-kār bhī aisā vaisā
'zauq' se us ko aqīdat hai ki allāh allāh
aur 'ġhālib' kā taraf-dār bhī aisā vaisā
kyā zamāna thā ki jab ahl-e-havas ke nazdīk
koī meyār thā meyār bhī aisā vaisā
maiñ bhī tamsīl-nigārī meñ bahut aage thā
vo bhī fankār thā fankār bhī aisā vaisā
koī uftād paḌī thī ki abhī tak chup thā
ik suḳhan-kār suḳhan-kār bhī aisā vaisā
ek thī jur.at-e-inkār ki aisī vaisī
ek darbār thā darbār bhī aisā vaisā
jis kā shāhoñ kī nazar meñ koī kirdār na thā
ek kirdār thā kirdār bhī aisā vaisā
ek isrār thā isrār bhī bai.at ke liye
ek inkār thā inkār bhī aisā vaisā
Top Urdushayar.com