Qasim Ali Khan Afridi

hum na mahzuz hue hain kisi shai se aise

Qasim Ali Khan Afridi

ham na mahzūz hue haiñ kisī shai se aise
jaise masrūr haiñ piine sate mai se aise
na hameñ kaam hai hashmat sate jamshed ke kuchh
boriyā bas hai ba-az masnad-e-kai se aise
chhoḌ duniyā ko ba-duniyā ze-haqīqat duniyā
ḳhuub vāqif huuñ rag-o-resha-o-pai se aise
diin duniyā kī mohabbat meñ agar ġhaur karo
hai tanaffur mujhe jis tarah se kai se aise
nai meñ tāqat nahīñ naa.e kā karishma zāhir
buujh naa.e kī sadā jo sune nai se aise
ḳhūb-rū agle zamāne ke haiñ ab tak maujūd
āfat-e-jān jo the haiñ vahī vaise aise
tū jo āvāra hai 'afrīdī' batā kis jā par
dil liyā kis ne tirā kaun sī lai se aise
Top Urdushayar.com