Qasim Ali Khan Afridi

jata na mere tain apna tu hunar waiz

Qasim Ali Khan Afridi

jatā na mere ta.iiñ apnā tū hunar vaa.iz
tū apne fe.al se muñh apnā ḳhaak bhar vaa.iz
nasīhat auroñ ko kartā hai chaḌh ke mimber par
magar nahīñ hai tire dil pe kuchh asar vaa.iz
zabāñ pe va.az hai aur dil tirā hai istiġhlāz
ba-va.az-e-behūda mat bāñdh tū kamar vaa.iz
amal ba-va.az kar apne ba-sidq-o-dil varna
tū apne haal ko dekhegā dar-hashar vaa.iz
baḌhā ke riish ko apnī bhī juuñ dum-e-tā.ūs
ye kis ḳhayāl pe bhūlā hai abla-ḳhar vaa.iz
ḳhudā karīm hai chāhegā jis ko baḳhshegā
kisī pe ta.an kī añgusht tū na dhar vaa.iz
tū apne va.az pe vaa.iz na bhuul sach hī nahīñ
ki rāz-e-ishq se tere ta.iiñ ḳhabar vaa.iz
muqābla ba-bahas mat kar ahl-e-rindāñ se
ki jis meñ aap ke ho riish kā zarar vaa.iz
kalām-e-be-namak-o-be-asar se tū apne
ḳharāb mat kare ḳhilqat ḳhudā se Dar vaa.iz
yahāñ vahāñ pe tujhe gar najāt hai manzūr
kisī faqīr ke qadmoñ par sar ko dhar vaa.iz
tū kahiyo pīr-e-muġhāñ se salām 'afrīdī'
agar ba-kū-e-ḳharābāt ho guzar vaa.iz
Top Urdushayar.com