ham ne to ujaaḌ aur bastī dekhī
duniyā kī sabhī buland aur pastī dekhī
sūrat pe ḳhayāl apnī aayā jis dam
yak lahza habāb-vār pastī dekhī
kitnoñ ke ma.āsh kī durustī dekhī
kitnoñ kī ba-ḳhāna fāqa-mastī dekhī
duniyā hai basān qahba ḳhush-dil ġhamgīñ
rotī hai kabhī kabhī to hañstī dekhī
jis dast kī maiñ darāz-dastī dekhī
is dast kī āḳhirash shikastī dekhī
jis ne bastam kiyā makāñ ko ta.amīr
dīvār phir us makāñ kī khisaktī dekhī
bā-vasf ayaañ hai lek ba.azī ḳhilqat
is shoḳh kī diid ko tarastī dekhī
ye turfa hai mājrā ki ka.aba-e-dil meñ
'āfrīdī' kī ham ne but-parastī dekhī